05/05/2020
Allah Ta'ala Ko Upar Wala Kehna Kaisa Hai ...?
Kuch log Allah Ta'ala ka naam lene ke bajaye us ko upar wala kehte hain ye nihayat hi ghalat hai balki agar ye aqeeda rakh kar ye lafz bole ke Allah upar hai to ye kufr hai kyunki Allah ki zaat upar niche aage pichhe daayen baayen tamam simton har makaan aur har zamaan se paak hai bartaro baala hai in sab simto purab , pachchhim , Uttar , dakkhin , upar niche , daayen , baayen , aage , pichhe , zamaan o makaan ko usi ne paida kiya hai to Allah Ta'ala ke liye ye nahi bola ja sakta ke wo upar hai ya niche hai kyunki jab usne in cheezon ko paida nahi kiya tha wo tab bhi tha Kaha tha aur kya tha uski haqeeqat ko uske alawa koi nahi jaanta
Agar koi kahe ke Allah Ta'ala arsh par hai to usse puchha jaaye ke jab usne arsh ko paida nahi kia tha tab wo kaha tha ..?
Yu hi agar koi kahe ke Allah Ta'ala upar hai to usse puchha jaye ke upar ko paida karne se pehle ko kaha tha ..?
Haan agar koi shakhs Allah Ta'ala ko upar wala is khayal se kahe ke wo sabse buland o baala hai aur uska martaba sabse upar hai to ye kufr nahi hai lekin phir bhi Allah Ta'ala ke liye aise alfaaz bolna sahi nahi ke jin se kufr ka shubah ho Aur Allah Ta'ala ko upar wala kehna beherhaal mana hai jisse bachna zaruri hai
kuch Log Allah Ta'ala ko Allah kehne ke bajaye sirf malik kehte hain ke malik ne jo chaha to aisa ho jayega ya malik jo karega wo hoga wagaira wagaira ye bhi achha aur islami tareeqa nahi sabse zyada seedhi sachchi aur achhi baat ye hai ke Allah ko Allah hi kaha jaaye kyunki us ka naam lena ibadat hai Aur us ka zikr karna hi insan ki zindagi ka sabse bada maqsad aur musalman ki pehchan hai yaani yun kehna chahiye ke Allah jo chahega wo hoga Allah jo karega wo hoga
ЁЯУЪ Ghalat Fehmiyan Aur Unki Islah page no. 15
Posted By -