09/09/2022
Khushbakht hain Jin ky Naaz uthae jatey hain
Woh bhi hain Jo har dam pukarey jatey hain
Kuch woh bhi hain jinka na zikar ha na fiqar
Aur woh bhi hain jinko aram dilate jatey hain
Bht sey woh bhi hain joh be fiqar sb udae jatey hain
Han woh bhi hain jinhey talb bhai ho tou bhi hatae tarsae jatey hain
Bakht naseeb qismat sbka mukhtalif ha
Kuch woh bhi hain Jo hasrat se khaali ankho se dekhtey jatey hain
Kuch lafz hain Jo sunae nhi jatey
Lekn kuch rawaiyey sb btae jatey hain
Kis qadar haqarat thi kuch lehjon ma
Kuch tanz ese k nafrat Dil ma ghr kiyey jatey hain.
Insaan ho kuch tou mayar rakho apna bura manaya kro bura mehsoos kiya kro.......